Doston trading ke subject par baat-cheet karte waqt, log ye zyadatar khud se assume kar lete hain ki stocks ke baare mein baat ki jaa rahi hai.
Lekin, there is another type of financial market, joki trading ke discussion me bahut hi important hai.
Ye hain commodity markets – aur commodity markets are very crucial to any discussion on Indian Economy and financial markets.
Toh doston commodity markets mein jo trading ki jaati hai, ye desh ke welfare aur resource management ke liye bahut crucial hai. Toh doston kahan ki jaati hai commodities ki trading?
One of these places is the NCDEX exchange. NCDEX ek aisa exchange hai, jahan daily basis par bauht heavy commodity trading hoti hai.
Kya aap commodity trading ke baare me pehle se jaane hain? Or are you new to commodity trading?
Hum is podcast me NCDEX aur commodity trading par kuch important cheezen discuss karne ja rahe hain. Toh kya taiyaar hain aap, apni commodity trading journey shuru karne ke liye?
Toh let's start, doston. Shuru karte hain NCDEX Exchange ko detail me samajhne se.
Doston NCDEX stands for Commodity and Derivatives Exchange aur ye ek public company hai, joki India me based hai.
To doston NCDEX is the primary commodity exchange in India aur India ke liye, this is one of the main places to trade in commodities.
NCDEX was founded in 2003. Aaj ki taareekh mein, NCDEX is nationally recognised in the context of commodity trading.
NCDEX is run by its own board of independent directors aur Securities Exchange Board of India, yani ki SEBI iske regulation ke liye responsible hoti hai.
Doston, NCDEX par 848 members registered hain. NCDEX ka client base is greater than 20 lakhs. NCDEX ke headquarters bhale hi Mumbai me hon, lekin NCDEX par trading aap India ke 49000 locations par aur inke lagbhag 1000 centres ke through kar sakte ho.
Aur lastly, NCDEX par daily operations me bahut hi advanced technologies ka upyog kiya jaata hai. NCDEX par aap completely online trading kar sakte ho. Toh ab aap relevant information milte hi apni trades place kar sakte ho, without any hassle.
Aur to aur, NCDEX ka ek mobile app bhi available hai, aapke app store par. Iska naam hai NCDEX App, aur ye market prices ke addition me aur bhi information lekar aata hai, right to your fingertips. Toh doston, aapne ye toh samajh hi liya hai, ki NCDEX par invest karna is very easy. Lekin, what to invest in?
Chaliye dekhte hain, ki NCDEX par aap kin commodities me invest kar sakte ho.
Doston NCDEX ka primary focus hota hai agricultural commodity trading par. That’s why, NCDEX receives contributions from the National Bank for Agricultural and Rural Development (NABARD).
NCDEX par aap 30 se adhik agricultural commodities trade kar sakte ho. For example, gehoon, maida, corn, rubber, aaloo, cotton, spices se lekar oil seeds bhi aap NCDEX par trade kar sakte ho.
Lekin iske alawa, aap NCDEX par non-agricultural commodities bhi trade kar sakte ho. For example, sona, chaandi, steel, tamba, lohe jaise metals bhi NCDEX par trade kiye jaate hain.
Toh this is what NCDEX is, in essence. Donton kya aap log ne MCX ke baare me suna hai? Aapne kisi news channel par MCX likha zaroor dekha hoga, in their news strips. Doston, ab hum MCX ke baare me jaanenge. Then we will see, ki how NCDEX is different from MCX.
Doston, NCDEX is one of the top commodity exchanges in India. However, ye value ke terms me second par aata hai, jabki MCX first par. Lekin doston, ye figure jo hai, iska in exchanges ke operations ki quality se koi relation nahi hai.
Toh just like NCDEX, MCX par bhi commodities hi trade ki jaati hain, aur inme se kaafi saare commodities doni exchanges par trade hote hain.
Toh kya difference hai dono mein? So the difference lies in which commodities are most widely and actively traded on which of these exchanges. While NCDEX leads in agricultural commodities, MCX mostly metal aur energy sources me deal karta hai.
Doston, ab aapne MCX aur NCDEX ke beech ke differences toh samajh hi liye hain. Ab aaiye dekhte hain, ki what are the benefits of the NCDEX exchange.
Chaliye shuru karte hain first benefit se.
Doston, jaisa ki humne abhi bataya tha, NCDEX is the leading exchange for trading agricultural commodities. As a result, ye jo farmers hote hain, wo agricultural commodity market ko easily access kar paate hain. Isliye, NCDEX ke through, agricultural sector enjoys greater market transparency.
Toh ab dekhte hain is benefit se linked second benefit. Doston farmers jab crops harvest karte hain, aur market me sell karne jaate hain, toh setting the price point is very complicated for them. Ye isliye, kyunki pehle jab farmers apne crops bechne jaate the, toh middlemen ke through prices settle karte the. Lekin ab ye process khatm ho gaya hai. Now, all they need to do is look up the prices on the NCDEX exchange.
Doston third benefit: NCDEX par trade ho rahi commodities ki quality maintain karne ke liye NCDEX strict guidelines follow karta hai. Toh market me enter karne ke liye, commodities ki quality achchi hona zaroori hai, hai ki nahi? Is kaaran se agricultural practices me bhi improvements aaye hain.
Aur last point: Doston aap ye toh jaante hi hoge, ki India is one of the leading producers of spices and pulses. India ne spices ke market me toh internationally benchmarks set kiye hue hain. Toh doston in commodities me trade karne ke liye aur inke market prices samajhne ke liye, NCDEX serves as the primary source of information.
Doston NCDEX se agricultural sector ko bahut benefits hue hain. Indian economy me bhi NCDEX plays a major role. Na keval in commodities me invest karna aasan ho gaya hai, balki NCDEX ne market conditions ko bhi kaafi improve kiya hai. Toh kaisa laga aapko NCDEX par ye podcast?
चलिए, एंजेल वन की तरफ से आपको आज के अलविदा. ये podcast शेयर करना ना भूलियेगा - याद रखियेगा की ज्ञान बाटने से बढ़ता है । और फिर अंत में तोह financial markets एक ऐसी university है जिसमे कोई professor नहीं, सब students ही है ।